12
Paulus par Kaī Bātoṅ kā Inkishāf
1 Lāzim hai ki maiṅ kuchh aur faḳhr karūṅ. Agarche is kā koī fāydā nahīṅ, lekin ab maiṅ un royāoṅ aur inkishāfāt kā zikr karūṅga jo Ḳhudāwand ne mujh par zāhir kie.
2 Maiṅ Masīh meṅ ek ādmī ko jāntā hūṅ jise chaudah sāl hue chhīn kar tīsre āsmān tak pahuṅchāyā gayā. Mujhe nahīṅ patā ki use yih tajrabā jism meṅ yā is ke bāhar huā. Ḳhudā jāntā hai.
3 Hāṅ, Ḳhudā hī jāntā hai ki wuh jism meṅ thā yā nahīṅ. Lekin yih maiṅ jāntā hūṅ
4 ki use chhīn kar firdaus meṅ lāyā gayā jahāṅ us ne nāqābil-e-bayān bāteṅ sunīṅ, aisī bāteṅ jin kā zikr karnā insān ke lie rawā nahīṅ.
5 Is qism ke ādmī par maiṅ faḳhr karūṅga, lekin apne āp par nahīṅ. Maiṅ sirf un bātoṅ par faḳhr karūṅga jo merī kamzor hālat ko zāhir kartī haiṅ.
6 Agar maiṅ faḳhr karnā chāhtā to is meṅ ahmaq na hotā, kyoṅki maiṅ haqīqat bayān kartā. Lekin maiṅ yih nahīṅ karūṅga, kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki sab kī mere bāre meṅ rāy sirf us par munhasir ho jo maiṅ kartā yā bayān kartā hūṅ. Koī mujhe is se zyādā na samjhe.
7 Lekin mujhe in ālā inkishāfāt kī wajah se ek kāṅṭā chubho diyā gayā, ek taklīfdeh chīz jo mere jism meṅ dhaṅsī rahtī hai tāki maiṅ phūl na jāūṅ. Iblīs kā yih paiġhambar mere mukke mārtā rahtā hai tāki maiṅ maġhrūr na ho jāūṅ.
8 Tīn bār maiṅ ne Ḳhudāwand se iltijā kī ki wuh ise mujh se dūr kare.
9 Lekin us ne mujhe yihī jawāb diyā, “Merā fazl tere lie kāfī hai, kyoṅki merī qudrat kā pūrā izhār terī kamzor hālat hī meṅ hotā hai.” Is lie maiṅ mazīd ḳhushī se apnī kamzoriyoṅ par faḳhr karūṅga tāki Masīh kī qudrat mujh par ṭhahrī rahe.
10 Yihī wajah hai ki maiṅ Masīh kī ḳhātir kamzoriyoṅ, gāliyoṅ, majbūriyoṅ, īzārasāniyoṅ aur pareshāniyoṅ meṅ ḳhush hūṅ, kyoṅki jab maiṅ kamzor hotā hūṅ tab hī maiṅ tāqatwar hotā hūṅ.
Paulus kī Kurinthiyoṅ ke lie Fikr
11 Maiṅ bewuqūf ban gayā hūṅ, lekin āp ne mujhe majbūr kar diyā hai. Chāhie thā ki āp hī dūsroṅ ke sāmne mere haq meṅ bāt karte. Kyoṅki beshak maiṅ kuchh bhī nahīṅ hūṅ, lekin in nām-nihād ḳhās rasūloṅ ke muqābale meṅ maiṅ kisī bhī lihāz se kam nahīṅ hūṅ.
12 Jo muta'addid ilāhī nishān, mojize aur zabardast kām mere wasīle se hue wuh sābit karte haiṅ ki maiṅ rasūl hūṅ. Hāṅ, wuh baṛī sābitqadmī se āp ke darmiyān kie gae.
13 Jo ḳhidmat maiṅ ne āp ke darmiyān kī, kyā wuh Ḳhudā kī dīgar jamātoṅ meṅ merī ḳhidmat kī nisbat kam thī? Hargiz nahīṅ! Is meṅ farq sirf yih thā ki maiṅ āp ke lie mālī bojh na banā. Mujhe muāf kareṅ agar mujh se is meṅ ġhaltī huī hai.
14 Ab maiṅ tīsrī bār āp ke pās āne ke lie taiyār hūṅ. Is martabā bhī maiṅ āp ke lie bojh kā bāis nahīṅ banūṅgā, kyoṅki maiṅ āp kā māl nahīṅ balki āp hī ko chāhtā hūṅ. Āḳhir bachchoṅ ko māṅ-bāp kī madad ke lie māl jamā nahīṅ karnā chāhie balki māṅ-bāp ko bachchoṅ ke lie.
15 Maiṅ to baṛī ḳhushī se āp ke lie har ḳharchā uṭhā lūṅgā balki apne āp ko bhī ḳharch kar dūṅgā. Kyā āp mujhe kam pyār kareṅge agar maiṅ āp se zyādā muhabbat rakhūṅ?
16 Ṭhīk hai, maiṅ āp ke lie bojh na banā. Lekin bāz sochte haiṅ ki maiṅ chālāk hūṅ aur āp ko dhoke se apne jāl meṅ phaṅsā liyā.
17 Kis tarah? Jin logoṅ ko maiṅ ne āp ke pās bhejā kyā maiṅ ne un meṅ se kisī ke zariye āp se ġhalat fāydā uṭhāyā?
18 Maiṅ ne Titus kī hauslā-afzāī kī ki wuh āp ke pās jāe aur dūsre bhāī ko bhī sāth bhej diyā. Kyā Titus ne āp se ġhalat fāydā uṭhāyā? Hargiz nahīṅ! Kyoṅki ham donoṅ ek hī rūh meṅ ek hī rāh par chalte haiṅ.
19 Āp kāfī der se soch rahe hoṅge ki ham āp ke sāmne apnā difā kar rahe haiṅ. Lekin aisā nahīṅ hai balki ham Masīh meṅ hote hue Allāh ke huzūr hī yih kuchh bayān kar rahe haiṅ. Aur mere azīzo, jo kuchh bhī ham karte haiṅ ham āp kī tāmīr karne ke lie karte haiṅ.
20 Mujhe ḍar hai ki jab maiṅ āūṅgā to na āp kī hālat mujhe pasand āegī, na merī hālat āp ko. Mujhe ḍar hai ki āp meṅ jhagaṛā, hasad, ġhussā, ḳhudġharzī, buhtān, gapbāzī, ġhurūr aur betartībī pāī jāegī.
21 Hāṅ, mujhe ḍar hai ki aglī dafā jab āūṅgā to Allāh mujhe āp ke sāmne nīchā dikhāegā, aur maiṅ un bahutoṅ ke lie ġham khāūṅgā jinhoṅ ne māzī meṅ gunāh karke ab tak apnī nāpākī, zinākārī aur aiyāshī se taubā nahīṅ kī.