3
1 Āp ko Masīh ke sāth zindā kar diyā gayā hai, is lie wuh kuchh talāsh kareṅ jo āsmān par hai jahāṅ Masīh Allāh ke dahne hāth baiṭhā hai.
2 Dunyāwī chīzoṅ ko apne ḳhayāloṅ kā markaz na banāeṅ balki āsmānī chīzoṅ ko.
3 Kyoṅki āp mar gae haiṅ aur ab āp kī zindagī Masīh ke sāth Allāh meṅ poshīdā hai.
4 Masīh hī āp kī zindagī hai. Jab wuh zāhir ho jāegā to āp bhī us ke sāth zāhir ho kar us ke jalāl meṅ sharīk ho jāeṅge.
Purānī aur Naī Zindagī
5 Chunāṅche un duniyāwī chīzoṅ ko mār ḍāleṅ jo āp ke andar kām kar rahī haiṅ: zinākārī, nāpākī, shahwatparastī, burī ḳhāhishāt aur lālach. (Lālach to ek qism kī butparastī hai.)
6 Allāh kā ġhazab aisī hī bātoṅ kī wajah se nāzil hogā.
7 Ek waqt thā jab āp bhī in ke mutābiq zindagī guzārte the, jab āp kī zindagī in ke qābū meṅ thī.
8 Lekin ab waqt ā gayā hai ki āp yih sab kuchh yānī ġhussā, taish, badsulūkī, buhtān aur gandī zabān ḳhastāhāl kapṛe kī tarah utār kar phaiṅk deṅ.
9 Ek dūsre se bāt karte waqt jhūṭ mat bolnā, kyoṅki āp ne apnī purānī fitrat us kī harkatoṅ samet utār dī hai.
10 Sāth sāth āp ne naī fitrat pahan lī hai, wuh fitrat jis kī tajdīd hamārā Ḳhāliq apnī sūrat par kartā jā rahā hai tāki āp use aur behtar taur par jān leṅ.
11 Jahāṅ yih kām ho rahā hai wahāṅ logoṅ meṅ koī farq nahīṅ hai, ḳhāh koī Ġhairyahūdī ho yā Yahūdī, maḳhtūn ho yā nāmaḳhtūn, Ġhairyūnānī ho yā Skūtī, ġhulām ho yā āzād. Koī farq nahīṅ paṛtā, sirf Masīh hī sab kuchh aur sab meṅ hai.
12 Allāh ne āp ko chun kar apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kar liyā hai. Wuh āp se muhabbat rakhtā hai. Is lie ab tars, nekī, farotanī, narmdilī aur sabar ko pahan leṅ.
13 Ek dūsre ko bardāsht kareṅ, aur agar āp kī kisī se shikāyat ho to use muāf kar deṅ. Hāṅ, yoṅ muāf kareṅ jis tarah Ḳhudāwand ne āp ko muāf kar diyā hai.
14 In ke alāwā muhabbat bhī pahan leṅ jo sab kuchh bāndh kar kāmiliyat kī taraf le jātī hai.
15 Masīh kī salāmatī āp ke diloṅ meṅ hukūmat kare. Kyoṅki Allāh ne āp ko isī salāmatī kī zindagī guzārne ke lie bulā kar ek badan meṅ shāmil kar diyā hai. Shukrguzār bhī raheṅ.
16 Āp kī zindagī meṅ Masīh ke kalām kī pūrī daulat ghar kar jāe. Ek dūsre ko har tarah kī hikmat se tālīm dete aur samjhāte raheṅ. Sāth sāth apne diloṅ meṅ Allāh ke lie shukrguzārī ke sāth zabūr, hamd-o-sanā aur ruhānī gīt gāte raheṅ.
17 Aur jo kuchh bhī āp kareṅ ḳhāh zabānī ho yā amlī wuh Ḳhudāwand Īsā kā nām le kar kareṅ. Har kām meṅ usī ke wasīle se Ḳhudā Bāp kā shukr kareṅ.
Naī Zindagī meṅ Tālluqāt Kaise Hūṅ
18 Bīwiyo, apne shauhar ke tābe raheṅ, kyoṅki jo Ḳhudāwand meṅ hai us ke lie yihī munāsib hai.
19 Shauharo, apnī bīwiyoṅ se muhabbat rakheṅ. Un se talḳhmizājī se pesh na āeṅ.
20 Bachcho, har bāt meṅ apne māṅ-bāp ke tābe raheṅ, kyoṅki yihī Ḳhudāwand ko pasand hai.
21 Wālido, apne bachchoṅ ko mushta'il na kareṅ, warnā wuh bedil ho jāeṅge.
22 Ġhulāmo, har bāt meṅ apne duniyāwī mālikoṅ ke tābe raheṅ. Na sirf un ke sāmne hī aur unheṅ ḳhush rakhne ke lie ḳhidmat kareṅ balki ḳhulūsdilī aur Ḳhudāwand kā ḳhauf mān kar kām kareṅ.
23 Jo kuchh bhī āp karte haiṅ use pūrī lagan ke sāth kareṅ, is tarah jaisā ki āp na sirf insānoṅ kī balki Ḳhudāwand kī ḳhidmat kar rahe hūṅ.
24 Āp to jānte haiṅ ki Ḳhudāwand āp ko is ke muāwaze meṅ wuh mīrās degā jis kā wādā us ne kiyā hai. Haqīqat meṅ āp Ḳhudāwand Masīh kī hī ḳhidmat kar rahe haiṅ.
25 Lekin jo ġhalat kām kare use apnī ġhaltiyoṅ kā muāwazā bhī milegā. Allāh to kisī kī bhī jānibdārī nahīṅ kartā.