14
Allāh Butparastī kā Munāsib Jawāb Degā
1 Isrāīl ke kuchh buzurg mujh se milne āe aur mere sāmne baiṭh gae.
2 Tab Rab mujh se hamkalām huā,
3 “Ai ādamzād, in ādmiyoṅ ke dil apne butoṅ se lipṭe rahte haiṅ. Jo chīzeṅ un ke lie ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ unheṅ unhoṅ ne apne muṅh ke sāmne hī rakhā hai. To phir kyā munāsib hai ki maiṅ unheṅ jawāb dūṅ jab wuh mujh se dariyāft karne āte haiṅ?
4 Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, yih log apne butoṅ se lipṭe rahte aur wuh chīzeṅ apne muṅh ke sāmne rakhte haiṅ jo ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ. Sāth sāth yih nabī ke pās bhī jāte haiṅ tāki mujh se mālūmāt hāsil kareṅ. Jo bhī Isrāīlī aisā kare use maiṅ ḳhud jo Rab hūṅ jawāb dūṅgā, aisā jawāb jo us ke muta'addid butoṅ ke ain mutābiq hogā.
5 Maiṅ un se aisā sulūk karūṅga tāki Isrāīlī qaum ke dil ko mazbūtī se pakaṛ lūṅ. Kyoṅki apne butoṅ kī ḳhātir sab ke sab mujh se dūr ho gae haiṅ.’
6 Chunāṅche Isrāīlī qaum ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki taubā karo! Apne butoṅ aur tamām makrūh rasm-o-riwāj se muṅh moṛ kar mere pās wāpas ā jāo.
7 Us ke anjām par dhyān do jo aisā nahīṅ karegā, ḳhāh wuh Isrāīlī yā Isrāīl meṅ rahne wālā pardesī ho. Agar wuh mujh se dūr ho kar apne butoṅ se lipaṭ jāe aur wuh chīzeṅ apne sāmne rakhe jo ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ to jab wuh nabī kī mārifat mujh se mālūmāt hāsil karne kī koshish karegā to maiṅ, Rab use munāsib jawāb dūṅgā.
8 Maiṅ aise shaḳhs kā sāmnā karke us se yoṅ nipaṭ lūṅgā ki wuh dūsroṅ ke lie ibratangez misāl ban jāegā. Maiṅ use yoṅ miṭā dūṅgā ki merī qaum meṅ us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
9 Agar kisī nabī ko kuchh sunāne par uksāyā gayā jo merī taraf se nahīṅ thā to yih is lie huā ki maiṅ, Rab ne ḳhud use uksāyā. Aise nabī ke ḳhilāf maiṅ apnā hāth uṭhā kar use yoṅ tabāh karūṅga ki merī qaum meṅ us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
10 Donoṅ ko un ke qusūr kī munāsib sazā milegī, nabī ko bhī aur use bhī jo hidāyat pāne ke lie us ke pās ātā hai.
11 Tab Isrāīlī qaum na mujh se dūr ho kar āwārā phiregī, na apne āp ko in tamām gunāhoṅ se ālūdā karegī. Wuh merī qaum hoṅge, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’ ”
Sirf Rāstbāz hī Bache Raheṅge
12 Rab mujh se hamkalām huā,
13 “Ai ādamzād, farz kar ki koī mulk bewafā ho kar merā gunāh kare, aur maiṅ kāl ke zariye use sazā de kar us meṅ se insān-o-haiwān miṭā ḍālūṅ.
14 Ḳhāh mulk meṅ Nūh, Dānyāl aur Ayyūb kyoṅ na baste to bhī mulk na bachtā. Yih ādmī apnī rāstbāzī se sirf apnī hī jānoṅ ko bachā sakte. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
15 Yā farz kar ki maiṅ mazkūrā mulk meṅ wahshī darindoṅ ko bhej dūṅ jo idhar-udhar phir kar sab ko phāṛ khāeṅ. Mulk wīrān-o-sunsān ho jāe aur janglī darindoṅ kī wajah se koī us meṅ se guzarne kī jurrat na kare.
16 Merī hayāt kī qasam, ḳhāh mazkūrā tīn rāstbāz ādmī mulk meṅ kyoṅ na baste to bhī akele hī bachte. Wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko bhī bachā na sakte balki pūrā mulk wīrān-o-sunsān hotā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
17 Yā farz kar ki maiṅ mazkūrā mulk ko jang se tabāh karūṅ, maiṅ talwār ko hukm dūṅ ki mulk meṅ se guzar kar insān-o-haiwān ko nest-o-nābūd kar de.
18 Merī hayāt kī qasam, ḳhāh mazkūrā tīn rāstbāz ādmī mulk meṅ kyoṅ na baste wuh akele hī bachte. Wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko bhī bachā na sakte. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
19 Yā farz kar ki maiṅ apnā ġhussā mulk par utār kar us meṅ mohlak wabā yoṅ phailā dūṅ ki insān-o-haiwān sab ke sab mar jāeṅ.
20 Merī hayāt kī qasam, ḳhāh Nūh, Dānyāl aur Ayyūb mulk meṅ kyoṅ na baste to bhī wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko bachā na sakte. Wuh apnī rāstbāzī se sirf apnī hī jānoṅ ko bachāte. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
21 Ab Yarūshalam ke bāre meṅ Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān suno! Yarūshalam kā kitnā burā hāl hogā jab maiṅ apnī chār saḳht sazāeṅ us par nāzil karūṅga. Kyoṅki insān-o-haiwān jang, kāl, wahshī darindoṅ aur mohlak wabā kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge.
22 To bhī chand ek bacheṅge, kuchh beṭe-beṭiyāṅ jilāwatan ho kar Bābal meṅ tumhāre pās āeṅge. Jab tum un kā burā chāl-chalan aur harkateṅ dekhoge to tumheṅ tasallī milegī ki har āfat munāsib thī jo maiṅ Yarūshalam par lāyā.
23 Un kā chāl-chalan aur harkateṅ dekh kar tumheṅ tasallī milegī, kyoṅki tum jān loge ki jo kuchh bhī maiṅ ne Yarūshalam ke sāth kiyā wuh bilāwajah nahīṅ thā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”