25
Ammoniyoṅ kā Mulk Un se Chhīn Liyā Jāegā
1 Rab mujh se hamkalām huā,
2 “Ai ādamzād, Ammoniyoṅ ke mulk kī taraf ruḳh karke un ke ḳhilāf nabuwwat kar.
3 Unheṅ batā,
‘Suno Rab Qādir-e-mutlaq kā kalām! Wuh farmātā hai ki ai Ammon Beṭī, tū ne ḳhush ho kar qahqahā lagāyā jab mere maqdis kī behurmatī huī, Mulk-e-Isrāīl tabāh huā aur Yahūdāh ke bāshinde jilāwatan hue.
4 Is lie maiṅ tujhe mashriqī qabīloṅ ke hawāle karūṅga jo apne ḍere tujh meṅ lagā kar pūrī bastiyāṅ qāym kareṅge. Wuh terā hī phal khāeṅge, terā hī dūdh pieṅge.
5 Rabbā shahr ko maiṅ ūṅṭoṅ kī charāgāh meṅ badal dūṅgā aur Mulk-e-Ammon ko bheṛ-bakriyoṅ kī ārāmgāh banā dūṅgā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
6 Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne tāliyāṅ bajā bajā kar aur pāṅw zamīn par mār mār kar Isrāīl ke anjām par apnī dilī ḳhushī kā izhār kiyā. Terī Isrāīl ke lie hiqārat sāf taur par nazar āī.
7 Is lie maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf baṛhā kar tujhe dīgar aqwām ke hawāle kar dūṅgā tāki wuh tujhe lūṭ leṅ. Maiṅ tujhe yoṅ miṭā dūṅgā ki aqwām-o-mamālik meṅ terā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Tab tū jān legī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’ ”
Moāb ke Shahr Tabāh Ho Jāeṅge
8 “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Moāb aur Saīr Isrāīl kā mazāq uṛā kar kahte haiṅ, ‘Lo, dekho Yahūdāh ke gharāne kā hāl! Ab wuh bhī bāqī qaumoṅ kī tarah ban gayā hai.’
9 Is lie maiṅ Moāb kī pahāṛī ḍhalānoṅ ko un ke shahroṅ se mahrūm karūṅga. Mulk ke ek sire se dūsre sire tak ek bhī ābādī nahīṅ rahegī. Go Moābī apne shahroṅ Bait-yasīmot, Bāl-maūn aur Qiriyatāym par ḳhās faḳhr karte haiṅ, lekin wuh bhī zamīnbos ho jāeṅge.
10 Ammon kī tarah maiṅ Moāb ko bhī mashriqī qabīloṅ ke hawāle karūṅga. Āḳhirkār aqwām meṅ Ammoniyoṅ kī yād tak nahīṅ rahegī,
11 aur Moāb ko bhī mujh se munāsib sazā milegī. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Allāh Adomiyoṅ se Intaqām Legā
12 “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yahūdāh se intaqām lene se Adom ne sangīn gunāh kiyā hai.
13 Is lie maiṅ apnā hāth Adom ke ḳhilāf baṛhā kar us ke insān-o-haiwān ko mār ḍālūṅgā, aur wuh talwār se māre jāeṅge. Temān se le kar Dadān tak yih mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
14 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki apnī qaum ke hāthoṅ maiṅ Adom se badlā lūṅgā, aur Isrāīl mere ġhazab aur qahr ke mutābiq hī Adom se nipaṭ legā. Tab wuh merā intaqām jān leṅge.”
Filistiyoṅ kā Ḳhātmā
15 “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Filistiyoṅ ne baṛe zulm ke sāth Yahūdāh se badlā liyā hai. Unhoṅ ne us par apnī dilī hiqārat aur dāymī dushmanī kā izhār kiyā aur intaqām le kar use tabāh karne kī koshish kī.
16 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ apnā hāth Filistiyoṅ ke ḳhilāf baṛhāne ko hūṅ. Maiṅ in Karetiyoṅ aur sāhilī ilāqe ke bache huoṅ ko miṭā dūṅgā.
17 Maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karke saḳhtī se un se badlā lūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”