27
Sūr ke Anjām par Mātamī Gīt
1 Rab mujh se hamkalām huā,
2 “Ai ādamzād, Sūr Beṭī par mātamī gīt gā,
3 us shahr par jo samundar kī guzargāh par wāqe hai aur muta'addid sāhilī qaumoṅ se tijārat kartā hai. Us se kah,
‘Rab farmātā hai ki ai Sūr Beṭī, tū apne āp par bahut faḳhr karke kahtī hai ki wāh, merā husn kamāl kā hai.
4 Aur wāqaī, terā ilāqā samundar ke bīch meṅ hī hai, aur jinhoṅ ne tujhe tāmīr kiyā unhoṅ ne tere husn ko takmīl tak pahuṅchāyā,
5 tujhe shāndār bahrī jahāz kī mānind banāyā. Tere taḳhte Sanīr meṅ ugne wāle jūnīpar ke daraḳhtoṅ se banāe gae. Terā mastūl Lubnān kā deodār kā daraḳht thā.
6 Tere chappū Basan ke balūt ke daraḳhtoṅ se banāe gae. Jabki tere farsh ke lie Qubrus se saro kī lakaṛī lāī gaī, phir use hāthīdāṅt se ārāstā kiyā gayā.
7 Nafīs katān kā terā rangdār bādbān Misr kā thā. Wuh terā imtiyāzī nishān ban gayā. Tere tirpāloṅ kā qirmizī aur arġhawānī rang Ilīsā ke sāhilī ilāqe se lāyā gayā.
8 Saidā aur arwad ke mard tere chappū mārte the, Sūr ke apne hī dānā tere mallāh the.
9 Jabal ke buzurg aur dānishmand ādmī dhyān dete the ki terī darzeṅ band raheṅ. Tamām bahrī jahāz apne mallāhoṅ samet tere pās āyā karte the tāki tere sāth tijārat kareṅ.
10 Fāras, Ludiyā aur Libiyā ke afrād terī fauj meṅ ḳhidmat karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī un kī ḍhāloṅ aur ḳhodoṅ ne terī shān mazīd baṛhā dī.
11 Arwad aur Ḳhalak ke ādmī terī fasīl kā difā karte the, jammād ke faujī tere burjoṅ meṅ pahrādārī karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī huī un kī ḍhāloṅ ne tere husn ko kamāl tak pahuṅchā diyā.
12 Tū amīr thī, tujh meṅ māl-o-asbāb kī kasrat kī tijārat kī jātī thī. Is lie Tarsīs tujhe chāṅdī, lohā, ṭīn aur sīsā de kar tujh se saudā kartā thā.
13 Yūnān, Tūbal aur Masak tujh se tijārat karte, terā māl ḳharīd kar muāwaze meṅ ġhulām aur pītal kā sāmān dete the.
14 Bait-tujarmā ke tājir tere māl ke lie tujhe ām ghoṛe, faujī ghoṛe aur ḳhachchar pahuṅchāte the.
15 Dadān ke ādmī tere sāth tijārat karte the, hāṅ muta'addid sāhilī ilāqe tere gāhak the. Un ke sāth saudābāzī karke tujhe hāthīdāṅt aur ābnūs kī lakaṛī miltī thī.
16 Shām terī paidāwār kī kasrat kī wajah se tere sāth tijārat kartā thā. Muāwaze meṅ tujhe fīrozā, arġhawānī rang, rangdār kapṛe, bārīk katān, mūṅgā aur yāqūt miltā thā.
17 Yahūdāh aur Isrāīl tere gāhak the. Terā māl ḳharīd kar wuh tujhe Minnīt kā gandum, pannag kī ṭikkiyāṅ, shahd, zaitūn kā tel aur balsān dete the.
18 Damishq terī wāfir paidāwār aur māl kī kasrat kī wajah se tere sāth kārobār kartā thā. Us se tujhe Halbūn kī mai aur sāhar kī ūn miltī thī.
19 Widān aur Yūnān tere gāhak the. Wuh Ūzāl kā ḍhālā huā lohā, dārchīnī aur kalamas kā masālā pahuṅchāte the.
20 Dadān se tijārat karne se tujhe zīnposh miltī thī.
21 Arab aur Qīdār ke tamām hukmrān tere gāhak the. Tere māl ke ewaz wuh bheṛ ke bachche, menḍhe aur bakre dete the.
22 Sabā aur Rāmā ke tājir terā māl hāsil karne ke lie tujhe behtarīn balsān, har qism ke jawāhar aur sonā dete the.
23 Hārān, Kannā, Adan, Sabā, Asūr aur kul Mādī sab tere sāth tijārat karte the.
24 Wuh tere pās ā kar tujhe shāndār libās, qirmizī rang kī chādareṅ, rangdār kapṛe aur kambal, nīz mazbūt rasse pesh karte the.
25 Tarsīs ke umdā jahāz terā māl muḳhtalif mamālik meṅ pahuṅchāte the. Yoṅ tū jahāz kī mānind samundar ke bīch meṅ rah kar daulat aur shān se mālāmāl ho gaī.
26 Tere chappū chalāne wāle tujhe dūr dūr tak pahuṅchāte haiṅ.
Lekin wuh waqt qarīb hai jab mashriq se tez āṅdhī ā kar tujhe samundar ke darmiyān hī ṭukṛe ṭukṛe kar degī.
27 Jis din tū gir jāegī us din terī tamām milkiyat samundar ke bīch meṅ hī ḍūb jāegī. Terī daulat, terā saudā, tere mallāh, tere bahrī musāfir, terī darzeṅ band rakhne wāle, tere tājir, tere tamām faujī aur bāqī jitne bhī tujh par sawār haiṅ sab ke sab ġharq ho jāeṅge.
28 Tere mallāhoṅ kī chīḳhtī-chillātī āwāzeṅ sun kar sāhilī ilāqe kāṅp uṭheṅge.
29 Tamām chappū chalāne wāle, mallāh aur bahrī musāfir apne jahāzoṅ se utar kar sāhil par khaṛe ho jāeṅge.
30 Wuh zor se ro paṛeṅge, baṛī talḳhī se giryā-o-zārī kareṅge. Apne saroṅ par ḳhāk ḍāl kar wuh rākh meṅ loṭ-poṭ ho jāeṅge.
31 Terī hī wajah se wuh apne saroṅ ko munḍwā kar ṭāṭ kā libās oṛh leṅge, wuh baṛī bechainī aur talḳhī se tujh par mātam kareṅge.
32 Tab wuh zār-o-qatār ro kar mātam kā gīt gāeṅge,
“Hāy, kaun samundar se ghire hue Sūr kī tarah ḳhāmosh ho gayā hai?”
33 Jab tijārat kā māl samundar kī chāroṅ taraf se tujh tak pahuṅchtā thā to tū muta'addid qaumoṅ ko ser kartī thī. Duniyā ke bādshāh terī daulat aur tijāratī sāmān kī kasrat se amīr hue.
34 Afsos! Ab tū pāsh pāsh ho kar samundar kī gahrāiyoṅ meṅ ġhāyb ho gaī hai. Terā māl aur tere tamām afrād tere sāth ḍūb gae haiṅ.
35 Sāhilī ilāqoṅ meṅ basne wāle ghabrā gae haiṅ. Un ke bādshāhoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Un ke chehre pareshān nazar āte haiṅ.
36 Dīgar aqwām ke tājir tujhe dekh kar “Taubā taubā” kahte haiṅ. Terā haulnāk anjām achānak hī ā gayā hai. Ab se tū kabhī nahīṅ uṭhegī.’ ”