39
Ai ādamzād, Jūj ke ḳhilāf nabuwwat karke kah,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Masak aur Tūbal ke ālā ra'īs Jūj, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. Maiṅ terā muṅh pher dūṅgā aur tujhe shimāl ke dūr-darāz ilāqe se ghasīṭ kar Isrāīl ke pahāṛoṅ par lāūṅgā. Wahāṅ maiṅ tere bāeṅ hāth se kamān haṭāūṅgā aur tere dāeṅ hāth se tīr girā dūṅgā. Isrāīl ke pahāṛoṅ par hī tū apne tamām bainul-aqwāmī faujiyoṅ ke sāth halāk ho jāegā. Maiṅ tujhe har qism ke shikārī parindoṅ aur darindoṅ ko khilā dūṅgā. Kyoṅki terī lāsh khule maidān meṅ gir kar paṛī rahegī. Yih merā, Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Maiṅ Mājūj par aur apne āp ko mahfūz samajhne wāle sāhilī ilāqoṅ par āg bhejūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Apnī qaum Isrāīl ke darmiyān hī maiṅ apnā muqaddas nām zāhir karūṅga. Āindā maiṅ apne muqaddas nām kī behurmatī bardāsht nahīṅ karūṅga. Tab aqwām jān leṅgī ki maiṅ Rab aur Isrāīl kā Quddūs hūṅ. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yih sab kuchh hone wālā hai, yih zarūr pesh āegā! Wuhī din hai jis kā zikr maiṅ kar chukā hūṅ.
Jūj aur Us kī Fauj kī Tadfīn
Phir Isrāīlī shahroṅ ke bāshinde maidān-e-jang meṅ jā kar dushman ke aslāh ko īṅdhan ke lie jamā kareṅge. Itnī chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ, kamān, tīr, lāṭhiyāṅ aur neze ikaṭṭhe ho jāeṅge ki sāt sāl tak kisī aur īṅdhan kī zarūrat nahīṅ hogī. 10 Isrāīliyoṅ ko khule maidān meṅ lakaṛī chunane yā jangal meṅ daraḳht kāṭne kī zarūrat nahīṅ hogī, kyoṅki wuh yih hathiyār īṅdhan ke taur par istemāl kareṅge. Ab wuh unheṅ lūṭeṅge jinhoṅ ne unheṅ lūṭ liyā thā, wuh un se māl-maweshī chhīn leṅge jinhoṅ ne un se sab kuchh chhīn liyā thā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
11 Us din maiṅ Isrāīl meṅ Jūj ke lie qabristān muqarrar karūṅga. Yih qabristān Wādī-e-Abārīm * meṅ hogā jo Bahīrā-e-Murdār ke mashriq meṅ hai. Jūj ke sāth us kī tamām fauj bhī dafn hogī, is lie musāfir āindā us meṅ se nahīṅ guzar sakeṅge. Tab wuh jagah Wādī-e-Hamūn-jūj bhī kahlāegī. 12 Jab Isrāīlī tamām lāsheṅ dafnā kar mulk ko pāk-sāf kareṅge to sāt mahīne lageṅge. 13 Tamām ummat is kām meṅ masrūf rahegī. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din maiṅ duniyā par apnā jalāl zāhir karūṅga us din yih un ke lie shohrat kā bāis hogā.
14 Sāt mahīnoṅ ke bād kuchh ādmiyoṅ ko alag karke kahā jāegā ki pūre mulk meṅ se guzar kar mālūm kareṅ ki abhī kahāṅ kahāṅ lāsheṅ paṛī haiṅ. Kyoṅki lāzim hai ki sab dafn ho jāeṅ tāki mulk dubārā pāk-sāf ho jāe. 15 Jahāṅ kahīṅ koī lāsh nazar āe us jagah kī wuh nishāndihī kareṅge tāki dafnāne wāle use Wādī-e-Hamūn-jūj meṅ le jā kar dafn kareṅ. 16 Yoṅ mulk ko pāk-sāf kiyā jāegā. Us waqt se Isrāīl ke ek shahr kā nām Hamūnā kahlāegā.’
17 Ai ādamzād, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki har qism ke parinde aur darinde bulā kar kah, ‘Āo, idhar jamā ho jāo! Chāroṅ taraf se ā kar Isrāīl ke pahāṛī ilāqe meṅ jamā ho jāo! Kyoṅki yahāṅ maiṅ tumhāre lie qurbānī kī zabardast ziyāfat taiyār kar rahā hūṅ. Yahāṅ tumheṅ gosht khāne aur ḳhūn pīne kā sunahrā mauqā milegā. 18 Tum sūrmāoṅ kā gosht khāoge aur duniyā ke hukmrānoṅ kā ḳhūn piyoge. Sab Basan ke moṭe-tāze menḍhoṅ, bheṛ ke bachchoṅ, bakroṅ aur bailoṅ jaise mazedār hoṅge. 19 Kyoṅki jo qurbānī meṅ tumhāre lie taiyār kar rahā hūṅ us kī charbī tum jī bhar kar khāoge, us kā ḳhūn pī pī kar mast ho jāoge. 20 Rab farmātā hai ki tum merī mez par baiṭh kar ghoṛoṅ aur ghuṛsawāroṅ, sūrmāoṅ aur har qism ke faujiyoṅ se ser ho jāoge.’
Rab Apnī Qaum Wāpas Lāegā
21 Yoṅ maiṅ dīgar aqwām par apnā jalāl zāhir karūṅga. Kyoṅki jab maiṅ Jūj aur us kī fauj kī adālat karke un se nipaṭ lūṅgā to tamām aqwām is kī gawāh hoṅgī. 22 Tab Isrāīlī qaum hameshā ke lie jān legī ki maiṅ Rab us kā Ḳhudā hūṅ. 23 Aur dīgar aqwām jān leṅgī ki Isrāīlī apne gunāhoṅ ke sabab se jilāwatan hue. Wuh jān leṅgī ki chūṅki Isrāīlī mujh se bewafā hue, isī lie maiṅ ne apnā muṅh un se chhupā kar unheṅ un ke dushmanoṅ ke hawāle kar diyā, isī lie wuh sab talwār kī zad meṅ ā kar halāk hue. 24 Kyoṅki maiṅ ne unheṅ un kī nāpākī aur jarāym kā munāsib badlā de kar apnā chehrā un se chhupā liyā thā.
25 Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ab maiṅ Yāqūb kī aulād ko bahāl karke tamām Isrāīlī qaum par tars khāūṅgā. Ab maiṅ baṛī ġhairat se apne muqaddas nām kā difā karūṅga. 26 Jab Isrāīlī sukūn se aur ḳhauf khāe baġhair apne mulk meṅ raheṅge to wuh apnī ruswāī aur mere sāth bewafāī kā etarāf kareṅge. 27 Maiṅ unheṅ dīgar aqwām aur un ke dushmanoṅ ke mamālik meṅ se jamā karke unheṅ wāpas lāūṅgā aur yoṅ un ke zariye apnā muqaddas kirdār muta'addid aqwām par zāhir karūṅga. 28 Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Kyoṅki unheṅ aqwām meṅ jilāwatan karne ke bād maiṅ unheṅ un ke apne hī mulk meṅ dubārā jamā karūṅga. Ek bhī pīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā. 29 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā maiṅ apnā chehrā un se nahīṅ chhupāūṅgā. Kyoṅki maiṅ apnā Rūh Isrāīlī qaum par unḍel dūṅgā.”
* 39:11 Yā Guzarne Wāloṅ kī Wādī. 39:11 Jūj ke Faujī Hujūm kī Wādī. 39:16 Hujūm yānī Jūj ke.