47
Rab ke Ghar meṅ se Nikalne Wālā Dariyā
1 Is ke bād merā rāhnumā mujhe ek bār phir Rab ke ghar ke darwāze ke pās le gayā. Yih darwāzā mashriq meṅ thā, kyoṅki Rab ke ghar kā ruḳh hī mashriq kī taraf thā. Maiṅ ne dekhā ki dahlīz ke nīche se pānī nikal rahā hai. Darwāze se nikal kar wuh pahle Rab ke ghar kī junūbī dīwār ke sāth sāth bahtā thā, phir qurbāngāh ke junūb meṅ se guzar kar mashriq kī taraf bah niklā.
2 Merā rāhnumā mere sāth bairūnī sahan ke shimālī darwāze meṅ se niklā. Bāhar chārdīwārī ke sāth sāth chalte chalte ham bairūnī sahan ke mashriqī darwāze ke pās pahuṅch gae. Maiṅ ne dekhā ki pānī is darwāze ke junūbī hisse meṅ se nikal rahā hai.
3 Ham pānī ke kināre kināre chal paṛe. Mere rāhnumā ne apne fīte ke sāth ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāpā. Phir us ne mujhe pānī meṅ se guzarne ko kahā. Yahāṅ pānī ṭaḳhnoṅ tak pahuṅchtā thā.
4 Us ne mazīd ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā, phir mujhe dubārā pānī meṅ se guzarne ko kahā. Ab pānī ghuṭnoṅ tak pahuṅchā. Jab us ne tīsrī martabā ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāp kar mujhe us meṅ se guzarne diyā to pānī kamr tak pahuṅchā.
5 Ek āḳhirī dafā us ne ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā. Ab maiṅ pānī meṅ se guzar na sakā. Pānī itnā gahrā thā ki us meṅ se guzarne ke lie tairne kī zarūrat thī.
6 Us ne mujh se pūchhā, “Ai ādamzād, kyā tū ne ġhaur kiyā hai?” Phir wuh mujhe dariyā ke kināre tak wāpas lāyā.
7 Jab wāpas āyā to maiṅ ne dekhā ki dariyā ke donoṅ kināroṅ par muta'addid daraḳht lage haiṅ.
8 Wuh bolā, “Yih pānī mashriq kī taraf bah kar Wādī-e-Yardan meṅ pahuṅchtā hai. Use pār karke wuh Bahīrā-e-Murdār meṅ ā jātā hai. Us ke asar se Bahīrā-e-Murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil ho jāegā.
9 Jahāṅ bhī dariyā bahegā wahāṅ ke beshumār jāndār jīte raheṅge. Bahut machhliyāṅ hoṅgī, aur dariyā Bahīrā-e-Murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil banāegā. Jahāṅ se bhī guzaregā wahāṅ sab kuchh phaltā-phūltā rahegā.
10 Ain-jadī se le kar Ain-ajlaim tak us ke kināroṅ par machhere khaṛe hoṅge. Har taraf un ke jāl sūkhne ke lie phailāe hue nazar āeṅge. Dariyā meṅ har qism kī machhliyāṅ hoṅgī, utnī jitnī Bahīrā-e-Rūm meṅ pāī jātī haiṅ.
11 Sirf Bahīrā-e-Murdār ke irdgird kī daldalī jaghoṅ aur johaṛoṅ kā pānī namkīn rahegā, kyoṅki wuh namak hāsil karne ke lie istemāl hogā.
12 Dariyā ke donoṅ kināroṅ par har qism ke phaldār daraḳht ugeṅge. In daraḳhtoṅ ke patte na kabhī murjhāeṅge, na kabhī un kā phal ḳhatm hogā. Wuh har mahīne phal lāeṅge, is lie ki maqdis kā pānī un kī ābpāshī kartā rahegā. Un kā phal logoṅ kī ḳhurāk banegā, aur un ke patte shafā deṅge.”
Isrāīl kī Sarhaddeṅ
13 Phir Rab Qādir-e-mutlaq ne farmāyā, “Maiṅ tujhe us mulk kī sarhaddeṅ batātā hūṅ jo bārah qabīloṅ meṅ taqsīm karnā hai. Yūsuf ko do hisse dene haiṅ, bāqī qabīloṅ ko ek ek hissā.
14 Maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar qasam khāī thī ki maiṅ yih mulk tumhāre bāpdādā ko atā karūṅga, is lie tum yih mulk mīrās meṅ pāoge. Ab use āpas meṅ barābar taqsīm kar lo.
15 Shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Sidād ke pās se guzartī hai.
16 Wahāṅ se wuh Berotā aur Sibraim ke pās pahuṅchtī hai. (Sibraim Mulk-e-Damishq aur Mulk-e-Hamāt ke darmiyān wāqe hai.) Phir sarhad Hasar-enān Shahr tak āge nikaltī hai jo Haurān kī sarhad par wāqe hai.
17 Ġharz shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se le kar Hasar-enān tak pahuṅchtī hai. Damishq aur Hamāt kī sarhaddeṅ us ke shimāl meṅ haiṅ.
18 Mulk kī mashriqī sarhad wahāṅ shurū hotī hai jahāṅ Damishq kā ilāqā Haurān ke pahāṛī ilāqe se miltā hai. Wahāṅ se sarhad Dariyā-e-Yardan ke sāth sāth chaltī huī junūb meṅ Bahīrā-e-Rūm ke pās Tamr Shahr tak pahuṅchtī hai. Yoṅ Dariyā-e-Yardan Mulk-e-Isrāīl kī mashriqī sarhad aur Mulk-e-Jiliyād kī maġhribī sarhad hai.
19 Junūbī sarhad Tamr se shurū ho kar junūb-maġhrib kī taraf chaltī chaltī Marībā-qādis ke chashmoṅ tak pahuṅchtī hai. Phir wuh shimāl-maġhrib kī taraf ruḳh karke Misr kī sarhad yānī Wādī-e-Misr ke sāth sāth Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchtī hai.
20 Maġhribī sarhad Bahīrā-e-Rūm hai jo shimāl meṅ Labo-hamāt ke muqābil ḳhatm hotī hai.
21 Mulk ko apne qabīloṅ meṅ taqsīm karo!
22 Yih tumhārī maurūsī zamīn hogī. Jab tum qurā ḍāl kar use āpas meṅ taqsīm karo to un ġhairmulkiyoṅ ko bhī zamīn milnī hai jo tumhāre darmiyān rahte aur jin ke bachche yahāṅ paidā hue haiṅ. Tumhārā un ke sāth waisā sulūk ho jaisā Isrāīliyoṅ ke sāth. Qurā ḍālte waqt unheṅ Isrāīlī qabīloṅ ke sāth zamīn milnī hai.
23 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis qabīle meṅ bhī pardesī ābād hoṅ wahāṅ tumheṅ unheṅ maurūsī zamīn denī hai.