5
Āstar Bādshāh aur Hāmān ko Dāwat Detī Hai
1 Tīsre din Āstar Malikā apnā shāhī libās pahne hue mahal ke andarūnī sahan meṅ dāḳhil huī. Yih sahan us hāl ke sāmne thā jis meṅ taḳht lagā thā. Us waqt bādshāh darwāze ke muqābil apne taḳht par baiṭhā thā.
2 Āstar ko sahan meṅ khaṛī dekh kar wuh ḳhush huā aur sone ke shāhī asā ko us kī taraf baṛhā diyā. Tab Āstar qarīb āī aur asā ke sire ko chhū diyā.
3 Bādshāh ne us se pūchhā, “Āstar Malikā, kyā bāt hai? Āp kyā chāhtī haiṅ? Maiṅ use dene ke lie taiyār hūṅ, ḳhāh saltanat kā ādhā hissā kyoṅ na ho!”
4 Āstar ne jawāb diyā, “Maiṅ ne āj ke lie ziyāfat kī taiyāriyāṅ kī haiṅ. Agar bādshāh ko manzūr ho to wuh Hāmān ko apne sāth le kar us meṅ shirkat kareṅ.”
5 Bādshāh ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Jaldī karo! Hāmān ko bulāo tāki ham Āstar kī ḳhāhish pūrī kar sakeṅ.” Chunāṅche bādshāh aur Hāmān Āstar kī taiyārshudā ziyāfat meṅ sharīk hue.
6 Mai pī pī kar bādshāh ne Āstar se pūchhā, “Ab mujhe batāeṅ, āp kyā chāhtī haiṅ? Wuh āp ko diyā jāegā. Apnī darḳhāst pesh kareṅ, kyoṅki maiṅ saltanat ke ādhe hisse tak āp ko dene ke lie taiyār hūṅ.”
7 Āstar ne jawāb diyā, “Merī darḳhāst aur ārzū yih hai,
8 agar bādshāh mujh se ḳhush hoṅ aur unheṅ merī guzārish aur darḳhāst pūrī karnā manzūr ho to wuh kal ek bār phir Hāmān ke sāth ek ziyāfat meṅ shirkat kareṅ jo maiṅ āp ke lie taiyār karūṅ. Phir maiṅ bādshāh ko jawāb dūṅgī.”
Mardakī ko Qatl Karne ke lie Hāmān kī Taiyāriyāṅ
9 Us din jab Hāmān mahal se niklā to wuh baṛā ḳhush aur zindādil thā. Lekin phir us kī nazar Mardakī par paṛ gaī jo shāhī sahan ke darwāze ke pās baiṭhā thā. Na wuh khaṛā huā, na Hāmān ko dekh kar kāṅp gayā. Hāmān lāl-pīlā ho gayā,
10 lekin apne āp par qābū rakh kar wuh chalā gayā.
Ghar pahuṅch kar wuh apne dostoṅ aur apnī bīwī Zarish ko apne pās bulā kar
11 un ke sāmne apnī zabardast daulat aur muta'addid beṭoṅ par sheḳhī mārne lagā. Us ne unheṅ un sāre mauqoṅ kī fahrist sunāī jin par bādshāh ne us kī izzat kī thī aur faḳhr kiyā ki bādshāh ne mujhe tamām bāqī shurafā aur afsaroṅ se zyādā ūṅchā ohdā diyā hai.
12 Hāmān ne kahā, “Na sirf yih, balki āj Āstar Malikā ne aisī ziyāfat kī jis meṅ bādshāh ke alāwā sirf maiṅ hī sharīk thā. Aur mujhe malikā se kal ke lie bhī dāwat milī hai ki bādshāh ke sāth ziyāfat meṅ shirkat karūṅ.
13 Lekin jab tak Mardakī Yahūdī shāhī mahal ke sahan ke darwāze par baiṭhā nazar ātā hai maiṅ chain kā sāṅs nahīṅ lūṅgā.”
14 Us kī bīwī Zarish aur bāqī azīzoṅ ne mashwarā diyā, “Sūlī banwāeṅ jis kī ūṅchāī 75 fuṭ ho. Phir kal subah-sawere bādshāh ke pās jā kar guzārish kareṅ ki Mardakī ko us se laṭkāyā jāe. Is ke bād āp tasallī se bādshāh ke sāth jā kar ziyāfat ke maze le sakte haiṅ.” Yih mansūbā Hāmān ko achchhā lagā, aur us ne sūlī taiyār karwāī.