4
Yarūshalam kī Musībat
1 Hāy, sone kī āb-o-tāb na rahī, ḳhālis sonā bhī māṅd paṛ gayā hai. Maqdis ke jawāhar tamām galiyoṅ meṅ bikhre paṛe haiṅ.
2 Pahle to Siyyūn ke girāṅqadar farzand ḳhālis sone jaise qīmtī the, lekin ab wuh goyā miṭṭī ke bartan samjhe jāte haiṅ jo ām kumhār ne banāe haiṅ.
3 Go gīdaṛ bhī apne bachchoṅ ko dūdh pilāte haiṅ, lekin merī qaum registān meṅ rahne wāle uqābī ullū jaisī zālim ho gaī hai.
4 Shīrḳhār bachche kī zabān pyās ke māre tālū se chipak gaī hai. Chhoṭe bachche bhūk ke māre roṭī māṅgte haiṅ, lekin khilāne wālā koī nahīṅ hai.
5 Jo pahle lazīz khānā khāte the wuh ab galiyoṅ meṅ tabāh ho rahe haiṅ. Jo pahle arġhawānī rang ke shāndār kapṛe pahante the wuh ab kūṛe-karkaṭ meṅ loṭ-poṭ ho rahe haiṅ.
6 Merī qaum se Sadūm kī nisbat kahīṅ zyādā sangīn gunāh sarzad huā hai. Aur Sadūm kā qusūr itnā sangīn thā ki wuh ek hī lamhe meṅ tabāh huā. Kisī ne bhī mudāḳhalat na kī.
7 Siyyūn ke ra'īs kitne shāndār the! Jild barf jaisī nikhrī, dūdh jaisī safed thī. Ruḳhsār mūṅge kī tarah gulābī, shakl-o-sūrat sang-e-lājaward jaisī chamakdār thī.
8 Lekin ab wuh koele jaise kāle nazar āte haiṅ. Jab galiyoṅ meṅ ghūmte haiṅ to unheṅ pahchānā nahīṅ jātā. Un kī haḍḍiyoṅ par kī jild sukaṛ kar lakaṛī kī tarah sūkhī huī hai.
9 Jo talwār se halāk hue un kā hāl un se behtar thā jo bhūke mar gae. Kyoṅki khetoṅ se ḳhurāk na milne par wuh ghul ghul kar mar gae.
10 Jab merī qaum tabāh huī to itnā saḳht kāl paṛ gayā ki narmdil māoṅ ne bhī apne bachchoṅ ko pakā kar khā liyā.
11 Rab ne apnā pūrā ġhazab Siyyūn par nāzil kiyā, use apne shadīd qahr kā nishānā banāyā. Us ne Yarūshalam meṅ itnī zabardast āg lagāī ki wuh buniyādoṅ tak bhasm ho gayā.
12 Ab dushman Yarūshalam ke darwāzoṅ meṅ dāḳhil hue haiṅ, hālāṅki duniyā ke tamām bādshāh balki sab log samajhte the ki yih mumkin hī nahīṅ.
13 Lekin yih sab kuchh us ke nabiyoṅ aur imāmoṅ ke sabab se huā jinhoṅ ne shahr hī meṅ rāstbāzoṅ kī ḳhūṅrezī kī.
14 Ab yihī log andhoṅ kī tarah galiyoṅ meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar phirte haiṅ. Wuh ḳhūn se itne ālūdā haiṅ ki sab log un ke kapṛoṅ se lagne se gurez karte haiṅ.
15 Unheṅ dekh kar log garajte haiṅ, “Haṭo, tum nāpāk ho! Bhāg jāo, dafā ho jāo, hameṅ hāth mat lagānā!” Phir jab wuh dīgar aqwām meṅ jā kar idhar-udhar phirne lagte haiṅ to wahāṅ ke log bhī kahte haiṅ ki yih mazīd yahāṅ na ṭhahreṅ.
16 Rab ne ḳhud unheṅ muntashir kar diyā, ab se wuh un kā ḳhayāl nahīṅ karegā. Ab na imāmoṅ kī izzat hotī hai, na buzurgoṅ par mehrbānī kī jātī hai.
17 Ham chāroṅ taraf āṅkh dauṛāte rahe, lekin befāydā, koī madad na milī. Deḳhte deḳhte hamārī nazar dhundlā gaī. Kyoṅki ham apne burjoṅ par khaṛe ek aisī qaum ke intazār meṅ rahe jo hamārī madad kar hī nahīṅ saktī thī.
18 Ham apne chaukoṅ meṅ jā na sake, kyoṅki wahāṅ dushman hamārī tāk meṅ baiṭhā thā. Hamārā ḳhātmā qarīb āyā, hamārā muqarrarā waqt iḳhtitāmpazīr huā, hamārā anjām ā pahuṅchā.
19 Jis tarah āsmān par manḍlāne wālā uqāb ek dam shikār par jhapaṭ paṛtā hai usī tarah hamārā tāqqub karne wāle ham par ṭūṭ paṛe, aur wuh bhī kahīṅ zyādā tezī se. Wuh pahāṛoṅ par hamāre pīchhe pīchhe bhāge aur registān meṅ hamārī ghāt meṅ rahe.
20 Hamārā bādshāh bhī un ke gaṛhoṅ meṅ phaṅs gayā. Jo hamārī jān thā aur jise Rab ne masah karke chun liyā thā use bhī pakaṛ liyā gayā, go ham ne sochā thā ki us ke sāye meṅ bas kar aqwām ke darmiyān mahfūz raheṅge.
21 Ai Adom Beṭī, beshak shādiyānā bajā! Beshak Mulk-e-Ūz meṅ rah kar ḳhushī manā! Lekin ḳhabardār, Allāh ke ġhazab kā pyālā tujhe bhī pilāyā jāegā. Tab tū use pī pī kar mast ho jāegī aur nashe meṅ apne kapṛe utār kar barahnā phiregī.
22 Ai Siyyūn Beṭī, terī sazā kā waqt pūrā ho gayā hai. Ab se Rab tujhe qaidī banā kar jilāwatan nahīṅ karegā. Lekin ai Adom Beṭī, wuh tujhe tere qusūr kā pūrā ajr degā, wuh tere gunāhoṅ par se pardā uṭhā legā.