8
Shamādān par Charāġh
1 Rab ne Mūsā se kahā,
2 “Hārūn ko batānā, ‘Tujhe sāt charāġhoṅ ko shamādān par yoṅ rakhnā hai ki wuh shamādān kā sāmne wālā hissā raushan kareṅ.’ ”
3 Hārūn ne aisā hī kiyā. Jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā usī tarah us ne charāġhoṅ ko rakh diyā tāki wuh sāmne wālā hissā raushan kareṅ.
4 Shamādān pāe se le kar ūpar kī kaliyoṅ tak sone ke ek ghaṛe hue ṭukṛe kā banā huā thā. Mūsā ne use us namūne ke ain mutābiq banwāyā jo Rab ne use dikhāyā thā.
Lāwiyoṅ kī Maḳhsūsiyat
5 Rab ne Mūsā se kahā,
6 “Lāwiyoṅ ko dīgar Isrāīliyoṅ se alag karke pāk-sāf karnā.
7 Is ke lie gunāh se pāk karne wālā pānī un par chhiṛak kar unheṅ hukm denā ki apne jism ke pūre bāl munḍwāo aur apne kapṛe dho'o. Yoṅ wuh pāk-sāf ho jāeṅge.
8 Phir wuh ek jawān bail chuneṅ aur sāth kī ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā leṅ. Tū ḳhud bhī ek jawān bail chun. Wuh gunāh kī qurbānī ke lie hogā.
9 Is ke bād Lāwiyoṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne khaṛā karke Isrāīl kī pūrī jamāt ko wahāṅ jamā karnā.
10 Jab Lāwī Rab ke sāmne khaṛe hoṅ to bāqī Isrāīlī un ke saroṅ par apne hāth rakheṅ.
11 Phir Hārūn Lāwiyoṅ ko Rab ke sāmne pesh kare. Unheṅ Isrāīliyoṅ kī taraf se hilāī huī qurbānī kī haisiyat se pesh kiyā jāe tāki wuh Rab kī ḳhidmat kar sakeṅ.
12 Phir Lāwī apne hāth donoṅ bailoṅ ke saroṅ par rakheṅ. Ek bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhāo tāki Lāwiyoṅ kā kaffārā diyā jāe.
13 Lāwiyoṅ ko is tarīqe se Hārūn aur us ke beṭoṅ ke sāmne khaṛā karke Rab ko hilāī huī qurbānī ke taur par pesh karnā hai.
14 Unheṅ bāqī Isrāīliyoṅ se alag karne se wuh merā hissā baneṅge.
15 Is ke bād hī wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ ā kar ḳhidmat kareṅ, kyoṅki ab wuh ḳhidmat karne ke lāyq haiṅ. Unheṅ pāk-sāf karke hilāī huī qurbānī ke taur par pesh karne kā sabab yih hai
16 ki Lāwī Isrāīliyoṅ meṅ se wuh haiṅ jo mujhe pūre taur par die gae haiṅ. Maiṅ ne unheṅ Isrāīliyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ kī jagah le liyā hai.
17 Kyoṅki Isrāīl meṅ har pahlauṭhā merā hai, ḳhāh wuh insān kā ho yā haiwān kā. Us din jab maiṅ ne Misriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mār diyā maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.
18 Is silsile meṅ maiṅ ne Lāwiyoṅ ko Isrāīliyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ kī jagah le kar
19 unheṅ Hārūn aur us ke beṭoṅ ko diyā hai. Wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ Isrāīliyoṅ kī ḳhidmat kareṅ aur un ke lie kaffārā kā intazām qāym rakheṅ tāki jab Isrāīlī maqdis ke qarīb āeṅ to un ko wabā se mārā na jāe.”
20 Mūsā, Hārūn aur Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ne ehtiyāt se Rab kī Lāwiyoṅ ke bāre meṅ hidāyāt par amal kiyā.
21 Lāwiyoṅ ne apne āp ko gunāhoṅ se pāk-sāf karke apne kapṛoṅ ko dhoyā. Phir Hārūn ne unheṅ Rab ke sāmne hilāī huī qurbānī ke taur par pesh kiyā aur un kā kaffārā diyā tāki wuh pāk ho jāeṅ.
22 Is ke bād Lāwī mulāqāt ke ḳhaime meṅ āe tāki Hārūn aur us ke beṭoṅ ke taht ḳhidmat kareṅ. Yoṅ sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
23 Rab ne Mūsā se yih bhī kahā,
24 “Lāwī 25 sāl kī umr meṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ apnī ḳhidmat shurū kareṅ
25 aur 50 sāl kī umr meṅ riṭāyar ho jāeṅ.
26 Is ke bād wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ apne bhāiyoṅ kī madad kar sakte haiṅ, lekin ḳhud ḳhidmat nahīṅ kar sakte. Tujhe Lāwiyoṅ ko in hidāyāt ke mutābiq un kī apnī apnī zimmedāriyāṅ denī haiṅ.”