Filippiyoṅ
1
Salām
Yih ḳhat Masīh Īsā ke ġhulāmoṅ Paulus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai.
Maiṅ Filippī meṅ maujūd un tamām logoṅ ko likh rahā hūṅ jinheṅ Allāh ne Masīh Īsā ke zariye maḳhsūs-o-muqaddas kiyā hai. Maiṅ un ke buzurgoṅ aur ḳhādimoṅ ko bhī likh rahā hūṅ.
Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.
Jamāt ke lie Shukr-o-Duā
Jab bhī maiṅ āp ko yād kartā hūṅ to apne Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ. Āp ke lie tamām duāoṅ meṅ maiṅ hameshā ḳhushī se duā kartā hūṅ, is lie ki āp pahle din se le kar āj tak Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne meṅ mere sharīk rahe haiṅ. Aur mujhe yaqīn hai ki Allāh jis ne āp meṅ yih achchhā kām shurū kiyā hai ise us din takmīl tak pahuṅchāegā jab Masīh Īsā wāpas āegā. Aur munāsib hai ki āp sab ke bāre meṅ merā yihī ḳhayāl ho, kyoṅki āp mujhe azīz rakhte haiṅ. Hāṅ, jab mujhe jel meṅ ḍālā gayā yā maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī kā difā yā us kī tasdīq kar rahā thā to āp bhī mere is ḳhās fazl meṅ sharīk hue. Allāh merā gawāh hai ki maiṅ kitnī shiddat se āp sab kā ārzūmand hūṅ. Hāṅ, maiṅ Masīh kī-sī dilī shafqat ke sāth āp kā ḳhāhishmand hūṅ.
Aur merī duā hai ki āp kī muhabbat meṅ ilm-o-irfān aur har tarah kī ruhānī basīrat kā yahāṅ tak izāfā ho jāe ki wuh baṛhtī baṛhtī dil se chhalak uṭhe. 10 Kyoṅki yih zarūrī hai tāki āp wuh bāteṅ qabūl kareṅ jo buniyādī ahmiyat kī hāmil haiṅ aur āp Masīh kī āmad tak belaus aur be'ilzām zindagī guzāreṅ. 11 Aur yoṅ āp us rāstbāzī ke phal se bhare raheṅge jo āp ko Īsā Masīh ke wasīle se hāsil hotī hai. Phir āp apnī zindagī se Allāh ko jalāl deṅge aur us kī tamjīd kareṅge.
Har Ek ko Mālūm Ho Jāe Ki Masīh Kaun Hai
12 Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki yih bāt āp ke ilm meṅ ho ki jo kuchh bhī mujh par guzarā hai wuh haqīqat meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke phailāo kā bāis ban gayā hai. 13 Kyoṅki Praiṭoriyum * ke tamām afrād aur bāqī sab ko mālūm ho gayā hai ki maiṅ Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ. 14 Aur mere qaid meṅ hone kī wajah se Ḳhudāwand meṅ zyādātar bhāiyoṅ kā etamād itnā baṛh gayā hai ki wuh mazīd dilerī ke sāth bilāḳhauf Allāh kā kalām sunāte haiṅ.
15 Beshak bāz to hasad aur muḳhālafat ke bāis Masīh kī munādī kar rahe haiṅ, lekin bāqiyoṅ kī nīyat achchhī hai, 16 kyoṅki wuh jānte haiṅ ki maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke difā kī wajah se yahāṅ paṛā hūṅ. Is lie wuh muhabbat kī rūh meṅ tablīġh karte haiṅ. 17 Is ke muqābale meṅ dūsre ḳhulūsdilī se Masīh ke bāre meṅ paiġhām nahīṅ sunāte balki ḳhudġharzī se. Yih samajhte haiṅ ki ham is tarah Paulus kī giriftārī ko mazīd taklīfdeh banā sakte haiṅ.
18 Lekin is se kyā farq paṛtā hai! Aham bāt to yih hai ki Masīh kī munādī har tarah se kī jā rahī hai, ḳhāh munād kī nīyat purḳhulūs ho yā na. Aur is wajah se maiṅ ḳhush hūṅ. Aur ḳhush rahūṅgā bhī, 19 kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki yih mere lie rihāī kā bāis banegā, is lie ki āp mere lie duā kar rahe haiṅ aur Īsā Masīh kā Rūh merī himāyat kar rahā hai. 20 Hāṅ, yih merī pūrī tawaqqo aur ummīd hai. Maiṅ yih bhī jāntā hūṅ ki mujhe kisī bhī bāt meṅ sharmindā nahīṅ kiyā jāegā balki jaisā māzī meṅ hameshā huā ab bhī mujhe baṛī dilerī se Masīh ko jalāl dene kā fazl milegā, ḳhāh maiṅ zindā rahūṅ yā mar jāūṅ. 21 Kyoṅki mere lie Masīh zindagī hai aur maut nafā kā bāis. 22 Agar maiṅ zindā rahūṅ to is kā fāydā yih hogā ki maiṅ mehnat karke mazīd phal lā sakūṅgā. Chunāṅche maiṅ nahīṅ kah saktā ki kyā behtar hai. 23 Maiṅ baṛī kash-ma-kash meṅ rahtā hūṅ. Ek taraf maiṅ kūch karke Masīh ke pās hone kī ārzū rakhtā hūṅ, kyoṅki yih mere lie sab se behtar hotā. 24 Lekin dūsrī taraf zyādā zarūrī yih hai ki maiṅ āp kī ḳhātir zindā rahūṅ. 25 Aur chūṅki mujhe is zarūrat kā yaqīn hai, is lie maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ zindā rah kar dubārā āp sab ke sāth rahūṅgā tāki āp taraqqī kareṅ aur īmān meṅ ḳhush raheṅ. 26 Hāṅ, mere āp ke pās wāpas āne se āp mere sabab se Masīh Īsā par had se zyādā faḳhr kareṅge.
27 Lekin āp har sūrat meṅ Masīh kī ḳhushḳhabrī aur āsmān ke shahriyoṅ ke lāyq zindagī guzāreṅ. Phir ḳhāh maiṅ ā kar āp ko dekhūṅ, ḳhāh ġhairmaujūdagī meṅ āp ke bāre meṅ sunūṅ, mujhe mālūm hogā ki āp ek Rūh meṅ qāym haiṅ, āp mil kar yakdilī se us īmān ke lie jāṅfishānī kar rahe haiṅ jo Allāh kī ḳhushḳhabrī se paidā huā hai, 28 aur āp kisī sūrat meṅ apne muḳhālifoṅ se dahshat nahīṅ khāte. Yih un ke lie ek nishān hogā ki wuh halāk ho jāeṅge jabki āp ko najāt hāsil hogī, aur wuh bhī Allāh se. 29 Kyoṅki āp ko na sirf Masīh par īmān lāne kā fazl hāsil huā hai balki us kī ḳhātir dukh uṭhāne kā bhī. 30 Āp bhī us muqābale meṅ jāṅfishānī kar rahe haiṅ jis meṅ āp ne mujhe dekhā hai aur jis ke bāre meṅ āp ne ab sun liyā hai ki maiṅ ab tak us meṅ masrūf hūṅ.
* 1:13 Gawarnar kā sarkārī mahal Praiṭoriyum kahlātā thā. Yahāṅ is kā matlab shāhnshāh ke pahredāroṅ ke kwārṭar bhī ho saktā hai.