20
Ammoniyoṅ kā Yahūdāh par Hamlā
1 Kuchh der ke bād Moābī, Ammonī aur kuchh Maūnī Yahūsafat se jang karne ke lie nikle.
2 Ek qāsid ne ā kar bādshāh ko ittalā dī, “Mulk-e-Adom se ek baṛī fauj āp se laṛne ke lie ā rahī hai. Wuh Bahīrā-e-Murdār ke dūsre kināre se baṛhtī baṛhtī is waqt Hassūn-tamr pahuṅch chukī hai.” (Hassūn Ain-jadī kā dūsrā nām hai.)
3 Yih sun kar Yahūsafat ghabrā gayā. Us ne Rab se rāhnumāī māṅgne kā faislā karke elān kiyā ki tamām Yahūdāh rozā rakhe.
4 Yahūdāh ke tamām shahroṅ se log Yarūshalam āe tāki mil kar madad ke lie Rab se duā māṅgeṅ.
5 Wuh Rab ke ghar ke nae sahan meṅ jamā hue aur Yahūsafat ne sāmne ā kar
6 duā kī,
“Ai Rab, hamāre bāpdādā ke Ḳhudā! Tū hī āsmān par taḳhtnashīn Ḳhudā hai, aur tū hī duniyā ke tamām mamālik par hukūmat kartā hai. Tere hāth meṅ qudrat aur tāqat hai. Koī bhī terā muqābalā nahīṅ kar saktā.
7 Ai hamāre Ḳhudā, tū ne is mulk ke purāne bāshindoṅ ko apnī qaum Isrāīl ke āge se nikāl diyā. Ibrāhīm terā dost thā, aur us kī aulād ko tū ne yih mulk hameshā ke lie de diyā.
8 Is meṅ terī qaum ābād huī. Tere nām kī tāzīm meṅ maqdis banā kar unhoṅ ne kahā,
9 ‘Jab bhī āfat ham par āe to ham yahāṅ tere huzūr ā sakeṅge, chāhe jang, wabā, kāl yā koī aur sazā ho. Agar ham us waqt is ghar ke sāmne khaṛe ho kar madad ke lie tujhe pukāreṅ to tū hamārī sun kar hameṅ bachāegā, kyoṅki is imārat par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.’
10 Ab Ammon, Moāb aur pahāṛī mulk Saīr kī harkatoṅ ko deḳh! Jab Isrāīl Misr se niklā to tū ne use in qaumoṅ par hamlā karne aur in ke ilāqe meṅ se guzarne kī ijāzat na dī. Isrāīl ko mutabādil rāstā iḳhtiyār karnā paṛā, kyoṅki use inheṅ halāk karne kī ijāzat na milī.
11 Ab dhyān de ki yih badle meṅ kyā kar rahe haiṅ. Yih hameṅ us maurūsī zamīn se nikālnā chāhte haiṅ jo tū ne hameṅ dī thī.
12 Ai hamāre Ḳhudā, kyā tū un kī adālat nahīṅ karegā? Ham to is baṛī fauj ke muqābale meṅ bebas haiṅ. Is ke hamle se bachne kā rāstā hameṅ nazar nahīṅ ātā, lekin hamārī āṅkheṅ madad ke lie tujh par lagī haiṅ.”
13 Yahūdāh ke tamām mard, aurateṅ aur bachche wahāṅ Rab ke huzūr khaṛe rahe.
14 Tab Rab kā Rūh ek Lāwī banām Yahziyel par nāzil huā jab wuh jamāt ke darmiyān khaṛā thā. Yih ādmī Āsaf ke ḳhāndān kā thā, aur us kā pūrā nām Yahziyel bin Zakariyāh bin Bināyāh bin Ya'iyel bin Mattaniyāh thā.
15 Us ne kahā, “Yahūdāh aur Yarūshalam ke logo, merī bāt suneṅ! Ai bādshāh, āp bhī is par dhyān deṅ. Rab farmātā hai ki ḍaro mat, aur is baṛī fauj ko dekh kar mat ghabrānā. Kyoṅki yih jang tumhārā nahīṅ balki merā muāmalā hai.
16 Kal un ke muqābale ke lie niklo. Us waqt wuh Darrā-e-Sīs se ho kar tumhārī taraf baṛh rahe hoṅge. Tumhārā un se muqābalā us wādī ke sire par hogā jahāṅ Yaruel kā Registān shurū hotā hai.
17 Lekin tumheṅ laṛne kī zarūrat nahīṅ hogī. Bas dushman ke āmne-sāmne khaṛe ho kar ruk jāo aur dekho ki Rab kis tarah tumheṅ chhuṭkārā degā. Lihāzā mat ḍaro, ai Yahūdāh aur Yarūshalam, aur dahshat mat khāo. Kal un kā sāmnā karne ke lie niklo, kyoṅki Rab tumhāre sāth hogā.”
18 Yih sun kar Yahūsafat muṅh ke bal jhuk gayā. Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām logoṅ ne bhī aundhe muṅh jhuk kar Rab kī parastish kī.
19 Phir Qihāt aur Qorah ke ḳhāndānoṅ ke kuchh Lāwī khaṛe ho kar buland āwāz se Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī hamd-o-sanā karne lage.
Ammoniyoṅ par Fatah
20 Agle din subah-sawere Yahūdāh kī fauj Taqua ke Registān ke lie rawānā huī. Nikalte waqt Yahūsafat ne un ke sāmne khaṛe ho kar kahā, “Yahūdāh aur Yarūshalam ke mardo, merī bāt suneṅ! Rab apne Ḳhudā par bharosā rakheṅ to āp qāym raheṅge. Us ke nabiyoṅ kī bātoṅ kā yaqīn kareṅ to āp ko kāmyābī hāsil hogī.”
21 Logoṅ se mashwarā karke Yahūsafat ne kuchh mardoṅ ko Rab kī tāzīm meṅ gīt gāne ke lie muqarrar kiyā. Muqaddas libās pahne hue wuh fauj ke āge āge chal kar hamd-o-sanā kā yih gīt gāte rahe, “Rab kī satāish karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.”
22 Us waqt Rab hamlā-āwar fauj ke muḳhālifoṅ ko khaṛā kar chukā thā. Ab jab Yahūdāh ke mard hamd ke gīt gāne lage to wuh tāk meṅ se nikal kar baṛhtī huī fauj par ṭūṭ paṛe aur use shikast dī.
23 Phir Ammoniyoṅ aur Moābiyoṅ ne mil kar pahāṛī mulk Saīr ke mardoṅ par hamlā kiyā tāki unheṅ mukammal taur par ḳhatm kar deṅ. Jab yih halāk hue to Ammonī aur Moābī ek dūsre ko maut ke ghāṭ utārne lage.
24 Yahūdāh ke faujiyoṅ ko is kā ilm nahīṅ thā. Chalte chalte wuh us maqām tak pahuṅch gae jahāṅ se registān nazar ātā hai. Wahāṅ wuh dushman ko talāsh karne lage, lekin lāsheṅ hī lāsheṅ zamīn par bikhrī nazar āīṅ. Ek bhī dushman nahīṅ bachā thā.
25 Yahūsafat aur us ke logoṅ ke lie sirf dushman ko lūṭne kā kām bāqī rah gayā thā. Kasrat ke jānwar, qism qism kā sāmān, kapṛe aur kaī qīmtī chīzeṅ thīṅ. Itnā sāmān thā ki wuh use ek waqt meṅ uṭhā kar apne sāth le jā nahīṅ sakte the. Sārā māl jamā karne meṅ tīn din lage.
26 Chauthe din wuh qarīb kī ek wādī meṅ jamā hue tāki Rab kī tārīf kareṅ. Us waqt se wādī kā nām ‘Tārīf kī Wādī’ paṛ gayā.
27 Is ke bād Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām mard Yahūsafat kī rāhnumāī meṅ ḳhushī manāte hue Yarūshalam wāpas āe. Kyoṅki Rab ne unheṅ dushman kī shikast se ḳhushī kā sunahrā mauqā atā kiyā thā.
28 Sitār, sarod aur turam bajāte hue wuh Yarūshalam meṅ dāḳhil hue aur Rab ke ghar ke pās jā pahuṅche.
29 Jab irdgird ke mamālik ne sunā ki kis tarah Rab Isrāīl ke dushmanoṅ se laṛā hai to un meṅ Allāh kī dahshat phail gaī.
30 Us waqt se Yahūsafat sukūn se hukūmat kar sakā, kyoṅki Allāh ne use chāroṅ taraf ke mamālik ke hamloṅ se mahfūz rakhā thā.
Yahūsafat ke Āḳhirī Sāl aur Maut
31 Yahūsafat 35 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 25 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Azūbā bint Silhī thī.
32 Wuh apne bāp Āsā ke namūne par chaltā aur wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā.
33 Lekin us ne bhī ūṅche maqāmoṅ ke mandiroṅ ko ḳhatm na kiyā, aur logoṅ ke dil apne bāpdādā ke Ḳhudā kī taraf māyl na hue.
34 Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh shurū se le kar āḳhir tak Yāhū bin Hanānī kī tārīḳh meṅ bayān kiyā gayā hai. Bād meṅ sab kuchh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj kiyā gayā.
35 Bād meṅ Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat ne Isrāīl ke bādshāh Aḳhaziyāh se ittahād kiyā, go us kā rawaiyā bedīnī kā thā.
36 Donoṅ ne mil kar tijāratī jahāzoṅ kā aisā beṛā banwāyā jo Tarsīs tak pahuṅch sake. Jab yih jahāz bandargāh Asyūn-jābar meṅ taiyār hue
37 to Maresā kā rahne wālā Iliyazar bin Dūdāwāhū ne Yahūsafat ke ḳhilāf peshgoī kī, “Chūṅki āp Aḳhaziyāh ke sāth muttahid ho gae haiṅ is lie Rab āp kā kām tabāh kar degā!” Aur wāqaī, yih jahāz kabhī apnī manzil-e-maqsūd Tarsīs tak pahuṅch na sake, kyoṅki wuh pahle hī ṭukṛe ṭukṛe ho gae.