9
Allāh aur Us kī Qaum
1 Maiṅ Masīh meṅ sach kahtā hūṅ, jhūṭ nahīṅ boltā, aur merā zamīr bhī Rūhul-quds meṅ is kī gawāhī detā hai
2 ki maiṅ dil meṅ apne Yahūdī hamwatanoṅ ke lie shadīd ġham aur musalsal dard mahsūs kartā hūṅ.
3 Kāsh mere bhāī aur ḳhūnī rishtedār najāt pāeṅ! Is ke lie maiṅ ḳhud malaūn aur Masīh se judā hone ke lie bhī taiyār hūṅ.
4 Allāh ne unhīṅ ko jo Isrāīlī haiṅ apne farzand banane ke lie muqarrar kiyā thā. Unhīṅ par us ne apnā jalāl zāhir kiyā, unhīṅ ke sāth apne ahd bāndhe aur unhīṅ ko sharīat atā kī. Wuhī haqīqī ibādat aur Allāh ke wādoṅ ke haqdār haiṅ,
5 wuhī Ibrāhīm aur Yāqūb kī aulād haiṅ aur unhīṅ meṅ se jismānī lihāz se Masīh āyā. Allāh kī tamjīd-o-tārīf abad tak ho jo sab par hukūmat kartā hai! Āmīn.
6 Kahne kā matlab yih nahīṅ ki Allāh apnā wādā pūrā na kar sakā. Bāt yih nahīṅ hai balki yih ki wuh sab haqīqī Isrāīlī nahīṅ haiṅ jo Isrāīlī qaum se haiṅ.
7 Aur sab Ibrāhīm kī haqīqī aulād nahīṅ haiṅ jo us kī nasl se haiṅ. Kyoṅki Allāh ne kalām-e-muqaddas meṅ Ibrāhīm se farmāyā, “Terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.”
8 Chunāṅche lāzim nahīṅ ki Ibrāhīm kī tamām fitratī aulād Allāh ke farzand hoṅ balki sirf wuhī Ibrāhīm kī haqīqī aulād samjhe jāte haiṅ jo Allāh ke wāde ke mutābiq us ke farzand ban gae haiṅ.
9 Aur wādā yih thā, “Muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.”
10 Lekin na sirf Sārā ke sāth aisā huā balki Is'hāq kī bīwī Ribqā ke sāth bhī. Ek hī mard yānī hamāre bāp Is'hāq se us ke juṛwāṅ bachche paidā hue.
11 Lekin bachche abhī paidā nahīṅ hue the na unhoṅ ne koī nek yā burā kām kiyā thā ki māṅ ko Allāh se ek paiġhām milā. Is paiġhām se zāhir hotā hai ki Allāh logoṅ ko apne irāde ke mutābiq chun letā hai.
12 Aur us kā yih chunāo un ke nek āmāl par mabnī nahīṅ hotā balki us ke bulāwe par. Paiġhām yih thā, “Baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.”
13 Yih bhī kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Yāqūb mujhe pyārā thā, jabki Esau se maiṅ mutanaffir rahā.”
14 Kyā is kā matlab yih hai ki Allāh be'insāf hai? Hargiz nahīṅ!
15 Kyoṅki us ne Mūsā se kahā, “Maiṅ jis par mehrbān honā chāhūṅ us par mehrbān hotā hūṅ aur jis par rahm karnā chāhūṅ us par rahm kartā hūṅ.”
16 Chunāṅche sab kuchh Allāh ke rahm par hī mabnī hai. Is meṅ insān kī marzī yā koshish kā koī daḳhl nahīṅ.
17 Yoṅ Allāh apne kalām meṅ Misr ke bādshāh Firaun se muḳhātib ho kar farmātā hai, “Maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyā hai ki tujh meṅ apnī qudrat kā izhār karūṅ aur yoṅ tamām duniyā meṅ mere nām kā prachār kiyā jāe.”
18 Ġharz, yih Allāh hī kī marzī hai ki wuh kis par rahm kare aur kis ko saḳht kar de.
Allāh kā Ġhazab aur Rahm
19 Shāyad koī kahe, “Agar yih bāt hai to phir Allāh kis tarah ham par ilzām lagā saktā hai jab ham se ġhaltiyāṅ hotī haiṅ? Ham to us kī marzī kā muqābalā nahīṅ kar sakte.”
20 Yih na kaheṅ. Āp insān hote hue kaun haiṅ ki Allāh ke sāth bahs-mubāhasā kareṅ? Kyā jis ko tashkīl diyā gayā hai wuh tashkīl dene wāle se kahtā hai, “Tū ne mujhe is tarah kyoṅ banā diyā?”
21 Kyā kumhār kā haq nahīṅ hai ki gāre ke ek hī launde se muḳhtalif qism ke bartan banāe, kuchh bā-izzat istemāl ke lie aur kuchh zillatāmez istemāl ke lie?
22 Yih bāt Allāh par bhī sādiq ātī hai. Go wuh apnā ġhazab nāzil karnā aur apnī qudrat zāhir karnā chāhtā thā, lekin us ne baṛe sabr-o-tahammul se wuh bartan bardāsht kie jin par us kā ġhazab ānā hai aur jo halākat ke lie taiyār kie gae haiṅ.
23 Us ne yih is lie kiyā tāki apnā jalāl kasrat se un bartanoṅ par zāhir kare jin par us kā fazl hai aur jo pahle se jalāl pāne ke lie taiyār kie gae haiṅ.
24 Aur ham un meṅ se haiṅ jin ko us ne chun liyā hai, na sirf Yahūdiyoṅ meṅ se balki Ġhairyahūdiyoṅ meṅ se bhī.
25 Yoṅ wuh Ġhairyahūdiyoṅ ke nāte se Hosea kī kitāb meṅ farmātā hai,
“Maiṅ use ‘Merī Qaum’ kahūṅgā
jo merī qaum na thī,
aur use ‘Merī Pyārī’ kahūṅgā
jo mujhe pyārī na thī.”
26 Aur “Jahāṅ unheṅ batāyā gayā ki ‘Tum merī qaum nahīṅ’
wahāṅ wuh ‘Zindā Ḳhudā ke Farzand’ kahlāeṅge.”
27 Aur Yasāyāh Nabī Isrāīl ke bāre meṅ pukārtā hai, “Go Isrāīlī sāhil par kī ret jaise beshumār kyoṅ na hoṅ to bhī sirf ek bache hue hisse ko najāt milegī.
28 Kyoṅki Rab apnā farmān mukammal taur par aur tezī se duniyā meṅ pūrā karegā.”
29 Yasāyāh ne yih bāt ek aur peshgoī meṅ bhī kī, “Agar Rabbul-afwāj hamārī kuchh aulād zindā na chhoṛtā to ham Sadūm kī tarah miṭ jāte, hamārā Amūrā jaisā satyānās ho jātā.”
Isrāīl ke lie Paulus kī Duā
30 Is se ham kyā kahnā chāhte haiṅ? Yih ki go Ġhairyahūdī rāstbāzī kī talāsh meṅ na the to bhī unheṅ rāstbāzī hāsil huī, aisī rāstbāzī jo īmān se paidā huī.
31 Is ke baraks Isrāīliyoṅ ko yih hāsil na huī, hālāṅki wuh aisī sharīat kī talāsh meṅ rahe jo unheṅ rāstbāz ṭhahrāe.
32 Is kī kyā wajah thī? Yih ki wuh apnī tamām koshishoṅ meṅ īmān par inhisār nahīṅ karte the balki apne nek āmāl par. Unhoṅ ne rāh meṅ paṛe patthar se ṭhokar khāī.
33 Yih bāt kalām-e-muqaddas meṅ likhī bhī hai,
“Dekho maiṅ Siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅ
jo ṭhokar kā bāis banegā,
ek chaṭṭān jo ṭhes lagne kā sabab hogī.
Lekin jo us par īmān lāegā
use sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.”