2
Hizqiyel kī Bulāhaṭ, Tūmār kī Royā
1 Wuh bolā, “Ai ādamzād, khaṛā ho jā! Maiṅ tujh se bāt karnā chāhtā hūṅ.”
2 Jyoṅ hī wuh mujh se hamkalām huā to Rūh ne mujh meṅ ā kar mujhe khaṛā kar diyā. Phir maiṅ ne āwāz ko yih kahte hue sunā,
3 “Ai ādamzād, maiṅ tujhe Isrāīliyoṅ ke pās bhej rahā hūṅ, ek aisī sarkash qaum ke pās jis ne mujh se baġhāwat kī hai. Shurū se le kar āj tak wuh apne bāpdādā samet mujh se bewafā rahe haiṅ.
4 Jin logoṅ ke pās maiṅ tujhe bhej rahā hūṅ wuh besharm aur ziddī haiṅ. Unheṅ wuh kuchh sunā de jo Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai.
5 Ḳhāh yih bāġhī suneṅ yā na suneṅ, wuh zarūr jān leṅge ki hamāre darmiyān nabī barpā huā hai.
6 Ai ādamzād, un se yā un kī bātoṅ se mat ḍarnā. Go tū kāṅṭedār jhāṛiyoṅ se ghirā rahegā aur tujhe bichchhuoṅ ke darmiyān basnā paṛegā to bhī ḳhaufzadā na ho. Na un kī bātoṅ se ḳhauf khānā, na un ke rawaiye se dahshat khānā. Kyoṅki yih qaum sarkash hai.
7 Ḳhāh yih suneṅ yā na suneṅ lāzim hai ki tū mere paiġhāmāt unheṅ sunāe. Kyoṅki wuh bāġhī hī haiṅ.
8 Ai ādamzād, jab maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā to dhyān de aur is sarkash qaum kī tarah baġhāwat mat karnā. Apne muṅh ko khol kar wuh kuchh khā jo maiṅ tujhe khilātā hūṅ.”
9 Tab ek hāth merī taraf baṛhā huā nazar āyā jis meṅ tūmār thā.
10 Tūmār ko kholā gayā to maiṅ ne dekhā ki us meṅ āge bhī aur pīchhe bhī mātam aur āh-o-zārī qalamband huī hai.