32
Azhdahe Firaun ko Mārā Jāegā
1 Yahūyākīn Bādshāh ke 12weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. 12weṅ mahīne kā pahlā din thā. Mujhe yih paiġhām milā,
2 “Ai ādamzād, Misr ke bādshāh Firaun par mātamī gīt gā kar use batā,
‘Go aqwām ke darmiyān tujhe jawān sherbabar samjhā jātā hai, lekin darhaqīqat tū Dariyā-e-Nīl kī shāḳhoṅ meṅ rahne wālā azhdahā hai jo apnī nadiyoṅ ko ubalne detā aur pāṅwoṅ se pānī ko zor se harkat meṅ lā kar gadlā kar detā hai.
3 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ muta'addid qaumoṅ ko jamā karke tere pās bhejūṅgā tāki tujh par jāl ḍāl kar tujhe pānī se khīṅch nikāleṅ.
4 Tab maiṅ tujhe zor se ḳhushkī par paṭaḳh dūṅgā, khule maidān par hī tujhe phaiṅk chhoṛūṅgā. Tamām parinde tujh par baiṭh jāeṅge, tamām janglī jānwar tujhe khā khā kar ser ho jāeṅge.
5 Terā gosht maiṅ pahāṛoṅ par phaiṅk dūṅgā, terī lāsh se wādiyoṅ ko bhar dūṅgā.
6 Tere bahte ḳhūn se maiṅ zamīn ko pahāṛoṅ tak serāb karūṅga, ghāṭiyāṅ tujh se bhar jāeṅgī.
7 Jis waqt maiṅ terī zindagī kī battī bujhā dūṅgā us waqt maiṅ āsmān ko ḍhāṅp dūṅgā. Sitāre tārīk ho jāeṅge, sūraj bādaloṅ meṅ chhup jāegā aur chāṅd kī raushnī nazar nahīṅ āegī.
8 Jo kuchh bhī āsmān par chamaktā-damaktā hai use maiṅ tere bāis tārīk kar dūṅgā. Tere pūre mulk par tārīkī chhā jāegī. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
9 Bahut qaumoṅ ke dil ghabrā jāeṅge jab maiṅ tere anjām kī ḳhabar dīgar aqwām tak pahuṅchāūṅgā, aise mamālik tak jin se tū nāwāqif hai.
10 Muta'addid qaumoṅ ke sāmne hī maiṅ tujh par talwār chalā dūṅgā. Yih dekh kar un par dahshat tārī ho jāegī, aur un ke bādshāhoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. Jis din tū dhaṛām se gir jāegā us din un par marne kā itnā ḳhauf chhā jāegā ki wuh bār bār kāṅp uṭheṅge.
11 Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Shāh-e-Bābal kī talwār tujh par hamlā karegī.
12 Terī shāndār fauj us ke sūrmāoṅ kī talwār se gir kar halāk ho jāegī. Duniyā ke sab se zālim ādmī Misr kā ġhurūr aur us kī tamām shān-o-shaukat ḳhāk meṅ milā deṅge.
13 Maiṅ wāfir pānī ke pās khaṛe us ke maweshī ko bhī barbād karūṅga. Āindā yih pānī na insān, na haiwān ke pāṅwoṅ se gadlā hogā.
14 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us waqt maiṅ hone dūṅgā ki un kā pānī sāf-shaffāf ho jāe aur nadiyāṅ tel kī tarah bahne lageṅ.
15 Maiṅ Misr ko wīrān-o-sunsān karke har chīz se mahrūm karūṅga, maiṅ us ke tamām bāshindoṅ ko mār ḍālūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’ ”
16 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Lāzim hai ki darj-e-bālā mātamī gīt ko gāyā jāe. Dīgar aqwām use gāeṅ, wuh Misr aur us kī shān-o-shaukat par mātam kā yih gīt zarūr gāeṅ.”
Pātāl meṅ Dīgar Aqwām Misr ke Intazār meṅ Haiṅ
17 Yahūyākīn Bādshāh ke 12weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Mahīne kā 15wāṅ din thā. Us ne farmāyā,
18 “Ai ādamzād, Misr kī shān-o-shaukat par wāwailā kar. Use dīgar azīm aqwām ke sāth Pātāl meṅ utār de. Use un ke pās pahuṅchā de jo pahle gaṛhe meṅ pahuṅch chuke haiṅ.
19 Misr ko batā,
‘Ab terī ḳhūbsūratī kahāṅ gaī? Ab tū is meṅ kis kā muqābalā kar saktā hai? Utar jā! Pātāl meṅ nāmaḳhtūnoṅ ke pās hī paṛā rah.’
20 Kyoṅki lāzim hai ki Misrī maqtūloṅ ke bīch meṅ hī gir kar halāk ho jāeṅ. Talwār un par hamlā karne ke lie khīṅchī jā chukī hai. Ab Misr ko us kī tamām shān-o-shaukat ke sāth ghasīṭ kar Pātāl meṅ le jāo!
21 Tab Pātāl meṅ baṛe sūrme Misr aur us ke madadgāroṅ kā istiqbāl karke kaheṅge, ‘Lo, ab yih bhī utar āe haiṅ, yih bhī yahāṅ paṛe nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ.’
22 Wahāṅ Asūr pahle se apnī pūrī fauj samet paṛā hai, aur us ke irdgird talwār ke maqtūloṅ kī qabreṅ haiṅ.
23 Asūr ko Pātāl ke sab se gahre gaṛhe meṅ qabreṅ mil gaīṅ, aur irdgird us kī fauj dafn huī hai. Pahle yih zindoṅ ke mulk meṅ chāroṅ taraf dahshat phailāte the, lekin ab ḳhud talwār se halāk ho gae haiṅ.
24 Wahāṅ Ailām bhī apnī tamām shān-o-shaukat samet paṛā hai. Us ke irdgird dafn hue faujī talwār kī zad meṅ ā gae the. Ab sab utar kar nāmaḳhtūnoṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se shadīd dahshat khāte the. Ab wuh bhī Pātāl meṅ utre hue dīgar logoṅ kī tarah apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ.
25 Ailām kā bistar maqtūloṅ ke darmiyān hī bichhāyā gayā hai, aur us ke irdgird us kī tamām shāndār fauj ko qabreṅ mil gaī haiṅ. Sab nāmaḳhtūn, sab maqtūl haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se saḳht dahshat khāte the. Ab wuh bhī Pātāl meṅ utre hue dīgar logoṅ kī tarah apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ. Unheṅ maqtūloṅ ke darmiyān hī jagah mil gaī hai.
26 Wahāṅ Masak-tūbal bhī apnī tamām shān-o-shaukat samet paṛā hai. Us ke irdgird dafn hue faujī talwār kī zad meṅ ā gae the. Ab sab nāmaḳhtūnoṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se shadīd dahshat khāte the.
27 Aur unheṅ un sūrmāoṅ ke pās jagah nahīṅ milī jo qadīm zamāne meṅ nāmaḳhtūnoṅ ke darmiyān faut ho kar apne hathiyāroṅ ke sāth Pātāl meṅ utar āe the aur jin ke saroṅ ke nīche talwār rakhī gaī. Un kā qusūr un kī haḍḍiyoṅ par paṛā rahtā hai, go zindoṅ ke mulk meṅ log in jangjuoṅ se dahshat khāte the.
28 Ai Firaun, tū bhī pāsh pāsh ho kar nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān paṛā rahegā.
29 Adom pahle se apne bādshāhoṅ aur ra'īsoṅ samet wahāṅ pahuṅch chukā hogā. Go wuh pahle itne tāqatwar the, lekin ab maqtūloṅ meṅ shāmil haiṅ, un nāmaḳhtūnoṅ meṅ jo Pātāl meṅ utar gae haiṅ.
30 Is tarah shimāl ke tamām hukmrān aur Saidā ke tamām bāshinde bhī wahāṅ ā maujūd hoṅge. Wuh bhī maqtūloṅ ke sāth Pātāl meṅ utar gae haiṅ. Go un kī zabardast tāqat logoṅ meṅ dahshat phailātī thī, lekin ab wuh sharmindā ho gae haiṅ, ab wuh nāmaḳhtūn hālat meṅ maqtūloṅ ke sāth paṛe haiṅ. Wuh bhī Pātāl meṅ utre hue bāqī logoṅ ke sāth apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ.
31 Tab Firaun in sab ko dekh kar tasallī pāegā, go us kī tamām shān-o-shaukat Pātāl meṅ utar gaī hogī. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Firaun aur us kī pūrī fauj talwār kī zad meṅ ā jāeṅge.
32 Pahle merī marzī thī ki Firaun zindoṅ ke mulk meṅ ḳhauf-o-hirās phailāe, lekin ab use us kī tamām shān-o-shaukat ke sāth nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān rakhā jāegā. Yih merā Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”